widgets

Hazrat Kamal Shah (Rahmatullah Alaih)

 Hazrat Kamal Shah(Rahmatullah Alaih)Rajnagar (Rajsamad Rajasthan)

Aapki Paidaesh 1833 Me hue Thi
Aapka Visal 1927 me hua,Tab se salana Urs 23 Jikadah ko Akidat Wa Ahtram Se Manaya Jata hai!Dargah sharif Husaini Chok Rajnagar Ke Kabarstan me hai.Hajrat Kamal shah Ne apne hatho se kalame Paak Khud Likha Hai.Bataya jata hai ki 1 Muhrram se 10 Muhrram Tak Hajrat Kamal shah Ka kayam Mama Bhanej Ki Dargah me  raha karta tha.Us jamane me dargah ke charo Taraf Ghana Jangal Or Sunsan Hone Ki wajah se aawam waha jane se Dara Karti thi.
Darbar Fateh sing Ne Hajrat Kamal Shah Baba Se Gujarish ki ke wo Jitni Jamin Jaydad C


hahe Le le!Magar Hajrat Ne Darbar Ki Jamin Jaydad Laine se  Saaf Inkaar Kar Diya.

Hazrat Kamal Shah (Rahmatullah Alaih) ke paas Ruhani faiz Hasil karne ke liye Hajrat Deewana Shah Baba (Rahmatullah Alaih) Kapasan Sharif,

Hajrat Kaji ChalFir Shah Rahmatullah Alaih) ChittodGadh or 

Hajrat Imrat Rasool (Rahmatullah Alaih)Udaipur wale Aksar Hajir Rahte The!

hazrat Kamal Shah (Rahmatullah Alaih) Takriban 6-7 Ganto Me pura Quran Sharif Mukamal(Likhte)Farma Liya Karte the.

Aapke Pas jo bhi talibe ilem Aate the unko Bator Tohfa Ek Quran Sharif jo ap khud Likha Karte The Wo De diya Karte The.

Hazrat ne takriban 600-700 Quran Sharif Apni Puri Zindagi Me Tahrir Farmaye.
Koi Mariz Bimar Pareshan Apke Darbar Me hajir hokar Majar Ki size ki barabar Dhaga Naap Kar Apne Gale Me Pahan le to Mariz Saihatyab Ho jata Hai .